June 21, 2015
0
Dard Bhari Shayariya Mardo Wale Attitude Line
Tamanna uske vajud ki hoti to,
duniya se chin leta,
ishk uski ruh se hain,
isliye khuda se mangta hoon…!!
*******************
Wo to apno ki hi fikar me wakt ki kimat samjhte hain,
warna wakt ko bhi smjha dete hamari kimat kya hain…!!
Gulami to tere ishk ki hain warna,
ye dil kal bhi navab tha aur aaj bhi hain…!!
*******************
bekhudi ki jindagi ham jiya nahi karte,
jaam dusro se ham piya nahi karte,
unhi ko mohabbat hain to aa ke ijhaar kare,
picha ham bhi kisi ka kiya nahi karte…!!
*******************
usne humse pucha teri raja kya hai,
kyon karte ho pasand wajah kya hai,
koi batae use meri khata kya hai,
jo wajah se kare pasand kisi ko,
usme maja kya hai !!
*******************
Dard hi sahi ishq ka inam to aaya,
khali hi sahi hatho me jam to aaya,
main hu bewafa sabko bataya usne,
yu hi sahi, uske labon pe mera naam to aaya…!!
*******************
Un panchiyon ko kaid me rakhna aadat nahi humari,
jo hamare dil ke pinjare me rehkar gairo ke sath udne ka shauk rkhte ho…!!
*******************
Juban pe mohar lagana koi badi bat nahi,
badal sako to badal do mere khyalon ko…!!
*******************
Baith kar kinare par mera didar na kar,
mujko samjana hai to samandar me utar ke dekh…!!
*******************
Lakh talware badi aati ho grdan ki taraf,
sar jhukana nahi aata to jhukae kaise…!!
*******************
Haadso ki jad me hai to kya muskurana chod de,
jaljalo ke khauf se kya ghar banana chod de…!!
*******************
Wo khud par gurur karte hai, to isme hairat ki koi bat nahi,
jinhe hum chahte hai, wo aam ho hi nahi sakte…!!
*******************
Ret par naam kabhi likhte nahi,
ret par naam kabhi tikte nahi,
log kahte hai ki hum patthar dil hai,
lekin pattharon par likhe naam kabhi mitte nahi…!!
*******************
Tum mujhe mauka to do etbar banane ka,
thak jaonge meri wafaon ke sath chalte chalte…!!
*******************
Usne dekha hi nahi apni hatheli ko kabhi,
usme halki si lakir meri bhi thi…!!
*******************
Hume bhula kar to dekho,
har khushi tumse rooth jaegi,
jab bhi dekhonge aaene me surat apni,
hamari hi surat najar aaegi…!!
*******************
Sochta hu ki ab tere dil me utar kar dekhun,
kaun hai waha, jo mujhko tere dil me basne nahi deta…!!
*******************
Khud ko wo chahe lakh mukmal samjhe,
lekin mere bina, wo mujhe adhura hi lagta hai…!!
*******************
Dil agar apna hai to kisi aur ke bas me kyon hai…!!
*******************
Mohhbat me jhukna koi ajib bat nahi,
chamkata suraj bhi to dhhal jata hai chand ke liye…!!
*******************
Kisi ke dil me basna kuch bura to nahi,
kisi ko dil me basana koi khata to nahi,
gunah ho yah jamane ki najar me to kya,
yah jamane wale koi khuda to nahi…!!

*******************
kisi ki kya majal thi,
jo hume kharid sakta,
hum to khud hi bik gye,
khariddar dekh ke…!!
*******************
Us ek chehre ne hume tanha kar diya varna,
hum to apne aap me hi ek mehfil hua karte the…!!
*******************
Haq se de to nafrat bhi sar aankhon par,
khairat me to teri mohhabat bhi manjur nahi !!
*******************
Dokha diya tha jab tun muje.
Jindagi se main naraj tha,
socha ki dil se tuje nikal du,
magar kambakht dil bhi tere pas tha…!!
*******************
Meri fitrat me nahi apna gam bayan karna,
agar tere wajud ka hissa hu to mahsus kar taklif meri…!!
*******************
Ham achhe sahi par log kharab kahte hain,
is desh ka bigda hua hame javab kahte hain,
ham aise badnaam hue is shahar me,
ki pani bhi piye to log use sharab kahte hain…!!
*******************
Talash hai mujhe dil se chahne walo ki,
husn to aaj kal bajar me bhi bikte hain…!!
*******************
Is gaflat me na rahna,
ki tere waste me jaag raha hu,
nind meri aankh se nahi,
mere mukkadar se udi hui hain…!!
*******************

0 comments:

Post a Comment