March 15, 2016
0
Rah na dekhengey yeh duniyaa sey guzarne waale,
Ham toh bas chahatein hai theher jaye theherne waale,
Ek toh husan bala ka aur uspe banaawat aafat,
Ghar toh bigdengein hazaaron k sanwarne waale!

Kuchh sochu toh tera hi khayal aata hain,
Kuchh bolu toh tera naam aata hain,
Kab tak mai chupaon apne dil ki baat,
Uss ki har ada pe hume pyar aata hain!



Hum har ek pal hans kar jiya kartey hai,
Aapse dil ki baate kiya kartey hai,
Aap bahut khas ho hamarey liye,
Tabhi hr waqt apko yaad kiya kartey hai!

0 comments:

Post a Comment